Saturday, July 23, 2011

Meri Tanhai Aur Mein..!!

Me aur Meri Tanhai aapas mein guftagu karte the..
us tanhai ke alam mein dil ye soch raha tha...
sirf mein hun meri sansen hai aur meri dhadkane....
aisi gehraiyaan aisi ruswaiyaan...aur mein...

Ye tanha dil jab ghabraya...
Khamoshiyon se ghire hue us dil ko...
maine samjhaya...dil kyun tu rota hai...
kyun tu aise pal khota hai...

door ek hasi ki khilkari ne dastak di....
apeksha se bhare is dil ne mujhse kaha...
mausam ne shayad rukh badla hai....
hawa ke ek jhoke ne jaise..
wadion mein pyar ke hone ka ehsas dilaya...

dil ko sahejhte hue maine us hawa se pucha...
kya ye khwab hai ya haquekat..
Haste hue usne mujhse kaha..
bas meri bahon mein aao...aur dekho ye haseen dunia...

Dilon mein jaise ek nayi tazgi thi...
ek naya junoon tha...ek naya sa vishwas tha...
ek naye sapne ka ehsas tha...
Mera tanha dil ko Dosti ka asara mil gaya tha...!!

Wednesday, July 20, 2011

to ye haq hai tumko

Tum mera sath na de sake, to ye haq hai tumko,
Meri baat aur hai, maine to aapna sathi mana hai tumhe.

Mere jazabat ki keemat kya hai
Inn ulajhe se khyalat ki keemat kya hai
In pareshan savalat ki keemat Kya hai
Tum jo yeh bhi na batao to yeh haq hai tumko

Meri baat aur hai, maine to aapna maana hai tumhe.
Jo Tum mera sath na de sake, to ye haq hai tumko.

Ahsas hi ahsas hai

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai